Maharana Pratap Balpan se hi parakrami Aur Sahasi tha. Chitod me Samshkhan ne jab ghera dala tab Maharana Udaysinh ne unako parajit kiya tha. Maharana Pratap ne Shamskhan ko mar diya tha. Maharana Udaysinh ne Chitod me kai Yudhdh lade the. Maharana Udaysinh ko yudhdh me Pratap ne kai bar sath diya tha.
Maharana Udaysinh ke Dusari Rani Dhir Bai ko Aek putra tha. Usaka nam Jagamal tha. Rani Dhir bai Kuvar Jagamal ko Maharana Banana Chahati thi. Rani Dhir bai ne Pratap ko Marane ka kai bar prayas kiya lekin Pratap ko kuchh nahi huaa. Pratap ke mitra ka nam Pandit Chakra pani tha. Pandit Chakrapani Vidvan pandit the. Aek bar Kuvar Pratap Mirabai ko dekhane ke liye Dwaraka jate he. Tansen Akabar ke darabar me Mirabai ki Bhakti ki pransansha karate he. Mirabai ki Bhakti ki pransansha sunakar Akabar ko Mirabai ke darshan ki Ichchha hoti he. Akabar aur Tansen Dwaraka jate he. Raste me Pratap Aur Akabar dono ke bich mitrata ho jati he.
Akabar ko pure Hindustan par hakumat karana chahata tha. lekin bichame chitod aata he. Hindustan ke kai raja ne Akabar ke sath mitrata ka hath milaya tha. Pratap ne Mugalo ke sath mitrata ka hath nahi milaya tha. Pratap Matrubhumi ko Videshi Mugalo ko dena nahi chahata tha. Pratap ke sath Bairamkhan ke sath kai bar mukabala huaa tha. Pratap ne Bairamkhan ko kai bar parajit kiya tha. Mugal Badashah Akabar Chitod ko jitane ke liye kai bar prayas kiya tha lekin har bar asafal rahe the.
Chitod par Mugalo ka sankat tha. Mevad Aur Maravad ke sambandh achche nahi the. Mogalo ka samana karane ke liye Mevad Aur Maravad Aek hona aavashyak tha. Isliye Maharana Udaysinh Maravad ke Rajakumari Fulkavar ke satha Pratap ka Vivah karana chahate the. Pratap samant Ravataji Aur Hansabai ke putri Ajabade se vivah karana chahate the. Ajabade Aur Fulakavar ke bich kai spardha hoti rahati he. Maharana Udaysinh ke dusari patni Dhirabai Pratap ka Vivah Fulakavar ke sath karana chahati thi. Dhirbai ki bahan Maravad ki maharani thi. Pratap Aur Ajabade ka Vivah rokane ke liye Dhirabai aur usaki bahan kai bar prayas karate he. lekin harabar asafal rahate he. Maharani Jayavantabai mahel chhodakar chali jati he usaka dosh Ajabade par aata he. Pratap Ajabade ka tyag kar dete he. Maharana Pratap ke Ashva ka nam Chetak tha. Chetak ne Pratap ke sath kai yudhdh lade the. Afaghano Bijoliya par Akraman karate he. Pratap Bijoliya jakar Afaghano ko parajit karate he. Samshakhan ke putra badashah ko mar dete he. Bijoliya ko Afaghano se mukt karate he. Ajabade ko Chitod vapas late he. Akabar puri sena ke sath Chitod par aakraman karata he. Pratap ko khane me nind ki aaushadhi milakar achet kar ke dur bhej dete he. Chitod ke samant Pratap ke mitra Akabar ke sath yadhdh me parajit hote he. bad me Pratap Uadaypur nagar ki sthapana karate he. Rani Dhirabai unake putra Kuvar Jagamal ko Maharana banane ke liye Akabar ke pas jati he. Akabar Kuvar Jagamal ko Rajgadi par bithate he. kuchh samay ke bad Udaysinh ka Mrutyu ho jata he. bad me Jagamal ko rajgadi par bithaya jata he. Kuvar Jagamal adharmi sashan kar raha tha. Pratap aur Jayavanta bai ko Desh nikal kiya gaya tha. Udaypur ke samanto ne jagamal ko hatakar Kuvar Pratap ko Udaypur ke sihashan par bithaya tha. Pratap ko Jangal ke Saradar Rana Kheta ke sath mitrata thi. Mugal Badashah Akabar Udaypur par chadai karane aata he. Raste me Rana Kheta ke Putra Rana Punja Akabar ko rokate he.
Maharana Pratap Aur Akabar ke Bich Haldi Ghati me bhisan yudhdh hota he.
Akabar Hadi Ghati ke Yudhdh me parajit hokar laut jata he. Maharana Pratap ke Putra ka nam Kuvar Amarsinh tha. Pratap ka Ashva Chetak aek badi nadi ko chhalang laga ke par karata he. Usake bad Pratap ke Ashva Chetak Mrutyu ho jata he.
Maharana Pratap Akabar ke pas se kai yudhdh karake kille vapas le lete he. Ajabade ki hatya ki gai thi.
Maharana Pratap ki Bimari ke karan 29 January, 1597 ke din Mrutyu hui thi.
3 Comments
GOOD WORK
ReplyDeleteGood post
ReplyDeletesaras
ReplyDeleteआपको हमारी पोस्ट अच्छी लगी हो तो कॉमेंट जरूर करें।